Gusse Par Kabu Pane Ka Asan Tarika!

Bismillah Al-Rahman Al-Rahim. 

"In the name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful".

AOA!

Muhammad-o-Aal-e-Muahmmad saw se jo taleemat milti hain unmy human btaya jata ha keh, Muhabbat ussy nahi krni jo Laik e Muhabbat na ho, Muhabbat ussy krni ha jo Laik e Muhabbat ho! Nafrat har kisi se nahi krni, Gusa har kisi se nahi krna, albata khuda ne insaan k wajood me gusay ki taqat ko rakha ha magar insan ko pata hona chahye keh mene gusa kahan karna ha or kahan nahi karna. Zaban di ha magar zaban kahan istemal karni ha or kahan istemal nahi karni. Ab gusa nah ho to insan insan nah ho, masal k tor pay agar khuda-nakhuwasta agar kisi k ghar par hamla hota ha to ap kab difah karo gey? Jb ap k andar gusa hoga. Gusy ki silahiyat islye bhi zaroori ha taky insan apna difah kar saky. 

            Gusa insan k andar zaroori to ha magar kahan istemal karna ha ye insan k upr depend karta ha. Masal k tor py agar baap apni aulad par gazabnaak hota ha ya thappar marta ha to bachy ko wahan gusa nahi karna wahan control ha or apni isleha karni ha. Agr koi Imam Hussain a.s ki ya Deen e Islam ki toheen kary to wahan difah karna ha jese karbala me Imam Hussain a.s ne aa k btaya k Imam a.s ne apny gusay ko Allah ki raah me kharch kiya.

Event of Imam Khomeini

            Imam Khomeini k waalid Shaheed Mustafa,  jin ko waqt k hukmaraano ne Goliyaan maar k shaheed kiya, yani shaheed k bety hain Imam Khomeini. Wo waqia suntay hain or btaty hain keh jab me jawan huwa to mere andar shadeed gusa tha k jinho ne mere walid ko maara ha me unko marun ga or badla loon ga. Phir kehty hain mene Ilm-e-Ahlyl Bait a.s hasil kiya or phir mujhy pata chala keh Ali a.s ka Shia Teen (Tin) k Dabby ki tarah nahi hota, keh bohot jaldi garam hojaye or bohot jaldi thanda hojaye. Phir samaj aye keh asal Shia me quality aik ye bhi ha keh wo apny gusay ko sahi tarah istemal karta ha or sahi jagah par istemal karta ha. Imam Khomeini Kehty hain mere andar gusa tha mere zehen me tha keh 4-5 log pakar kar team bana kar dushmano ko marwa deta lekin phir samaj aye keh ussy kuch hasil nahi hona, mene phir socha aik ya do ko nahi marna. Agar marna ha to is galat nizam ki jarron (roots) ko he kaat dun ga. Kehty hain mene apny gusay ko Ilm hasil karny k liye istemal kiya. Kehty hain Ilm hasil kiya shia qom ko ujagar kiya or aik do ko marny k bjaye mene nizam-e-yazeediyat ko gira diya.
            Lehaza is se humain ye sabaq milta ha keh humain pata hona chahye keh humny apna gusa kahan nikalana ha. Misal k tor py, Aj kal dekha jata ha kisi jawan ko Muhabbat me shikast milta ha to wo ghamgheen hojaty hain or inko yahi nahi pata keh inho ne apna gham kahan istemal karna ha, kuch log ghamgheen hoty hain nasha karny lag jaty hain, cigerrate peeny lag jaty, khudkhushi karny lgty hain, blade le kar hath kaat liya, ulti sedhi harkatain karny lag jaty hain or din raat Ghalib k dukhi shair parhny lagta ha. Is jawan ko pagal kehna munasib hoga, kyun keh is jawan ko pata he nahi keh gham ka elaaj shair o shairi nahi, sad songs nahi, ya 2-4 sad films dekh k mazeed jazbati ho kar matlab ye huwa keh aag k upar mazeed petrol chirak raha ha. Aik sawal uthta ha keh kyun hamara mashara tabah-o-barbaad horha ha? Kyun is tarah ka jawan gham me kabhi sad songs sunta ha kabhi sad poetry parhta ha kabhi khud ko nuksan deta ha. Agr is jawan me aqal ho to samaj aye keh in chezon se gham door nahi hona. Humain is ka jawab chahye to karbala se sekhna chahye jahan humain nazar ata ha keh jab Imam Hussain a.s Ghamgheen thy to qalaam karty huwy kehty: "Ay Khuda me teri riza pay razi", "Tere amar k samny tasleem", "Ay Khuda Tere ilawa mera koi Khuda nahi", "Ay faryad suny walon ki faryad suny waly".  Allah farmata ha(Mafhoom), "Ay wo bandy jis ka dil toot gaya ha Allah k darbaar me aa, me tere ghamon ko door karny wala hoon".
            Insan ko pata he nahi keh gham kese door karna ha, ye galat dostiyon me chala jaye ga, isko nahi pata keh apny ahsasat or jazbat ko kese handle karna ha. Banda gusay me ata ha samaj nahi ati keh kya karna ha ulta neend ki goliyan kha kar sojata ha. Mola Ali a.s ne btaya keh "Agar Gusa Aye to Aik Glass Pani Piya karo..., Jab gusa aye to sir ko sajdy me rakha karo, jab gusa aye to ghusal kiya karo gusa thanda hojaye ga, Jab gusa aye to qalaam na kiya karo kyun keh gusy me insan jo bhi bolta ha galat bolta ha." Gusay ka behtareen ilaaj ha keh gusa aye to khamosh hojao na keh galat bat kar k aglay bandy ko bhi gusa dilaya jaye. Iski misaal gari ki us sui se li ja sakti ha jab gari garm hojati ha to sui agay ki taraf barhna shru hojati ha, jab zyada uper chali jaye to gari band kar dety ho ya mazeed accelerator de dety ho? Engine Jal jata ha lehaza kuch dair gari ko band kr diya jata ha taky gari ka engine normal hojaye or koi nuksan nah ho.
                Har chez ki aik boundary hoti ha. Border se bahir jao gy to bhatak jao gy, ye wo sifaat hain jo insan ko apny liye paida karni ha. Agr theek tarah se control kar k apni zindagi ko chalaye ga to matlb sifaat-e-Ali or agar nahi to yani k insan sifat-e-yazeed ko apny liye muntakhib kiya ha. 

Mard Ki Mard Se Aur Aurat Ki Aurat Se Shaadi..!!

Bismillah Al-Rahman Al-Rahim. 

"In the name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful".

AOA!

Is baat ko samajhny k liye 2 masharon ko compare karain. Phir apko samaj aye ga Hamara Mashara jahan hum reh rahay hain, maslan Pakistan or ye shehr Lahore, kin zarooraton ko pura kar raha ha or unka mashara, maslan yahoodi waghera, kin zarooraton ko pura kar raha ha, phir apko samaj ajaye ga wo law kin basis py bnaty hain? Nizam-e-Islam, Nizam-e-Ilahi, Nizam-e-Tagoot, Nizam-e-Zulm me faraq kya ha? Nizam-e-Tagoot bhi insan ko facilitate krta ha. Imam e Zamana a.s (Imam Mehdi a.s) jb ayen gey to wo bhi insano ko facilitate karain gey. Phir sawal ye paida hota ha keh us nizam k laws kin bases py banain gey? Nizam-e-Tagoot k laws kin bases py bantay hain? Pakistan me bhi hakoomat chal rahi ha lekin iski bunyad kya ha? Mukhtalaif mumalik me mukhtalif hakoomatain hain lekin unki bunyad kya ha? Aik Hakoomat, Hakoomat-e-Ilahi aye gi jis ko hakoomat-e-Mehdavi a.s bola jata ha, uski bunyadain kis chez par hon gi? Iska jawab ye milta ha keh jab ye hakoomat aye gi to koi aisa bacha ni milta jo chor banay ga, Koofay Shehr se Aik Khatoon apnay badan par Sona, Chandi pehen kar Basray Shehr tak jaye gi, Na koi Jawan us Khatoon par nigah karay ga or na koi usky badan se Sona utaray ga. Aisa waqt aye ga keh koi shaks sona, zakaat wahgera le kar galiyo me phiry ga keh koi ha jo mujh se zakaat lene wala? Lekin koi Zakaat lene ko tiyar nahi hoga.  

            To khud se puchain keh kya Waqt k Imam, Imam Mehdi a.s Jadoo ki Charhi le kar ayen gey? Ya koi Phook maar kar mashara thek kar den gy? Nahi mere azeez bhaiyo! Mola a.s insaan ko ussi route par chalayen gey jis par Khuda insan ko chalana chahta ha. Hamari sabki soch ko thek karain gey, Insan ki mehnat, zehmat wahi hogi Lkn jb Imam Mehdi a.s ayen gey to Wo insan ki jehd (yani aqal) ko thek karain gey taky insan foran apny asal hadaf tak pohnch jaye. 

INSAN K JISM KI ZAROORAT: 

            Kisi Angrez ki tehkeek me usny btaya insan sirf aik jism ha (Just One Body), ab usny apni maarafat or insan ki definition jism tak rakhi, to subha se sham tak wo mehnat kis k lye karta ha? Jism k lye. Sary shampoo, creams kis lye? Jism k lye. Agr insaan k baal chalay gaye to insan us par hazaron or lakhon kharch kar deta ha. Is kisam k mashara k andar beauty parlour sab se zyada nazar ayen gy. Un masharon beauty doctors tak mil jayen gey. Maslan, UK me dekha jaye to aisi dukaanain hain jahan sirf Naakhun (nails) ban rahay hain. Afsos ki bat ye ha keh kisi aik gareeb k maheeny ka kharcha nahi hoga jitna wo aurat aik ghantay me nakhun bnwati ha. Nateeja dekhen to focus kis par ha? Jism par. 

            Dekha jaye to Deen Islam mukhalafat nahi karta keh jism ka khiyal na rakho ya shahana (luxury) na guzaro, lekin Deen Islam kehta ha keh is chez ko hadaf(aim) na banao. 

            Aik Musalman khatoon jo bahir Pakistan se rahi ha or bahir shadi kar k bachy paaly hain or musalsal ussi masharay me rahi ha, ussy pucha gya talaaq kyun huwa? To usny btaya keh shohar ne kaha keh Botox Treatment karwa k hont motay krwao. Magar khatoon ne treatment nahi karwaye to shohar ne usko talaaq de di. Ye treatment karwany ki fiqar yani ye soch kahan se aa rahi ha? Ye mashara seekh de raha ha. 

            Ye Mountain climbing, ye botox treatment ya surgeries, ye luxury lifestyle, bed change shower change karna bar bar, focus kis chez par ha? or ye sab kis lye?  Aik jism k lye.

            To dekha jaye keh focus kis par bana? Jism par? To ye mashara or usky qanoon kin bunyaadon par rakhy gaye? Jism K liye! 

            Ab dekhny me yahi ata ha keh jis insan ko jesa pasand ha wo usko wesa he facilitate kary ga. Mard ko pasand ha keh wo aurat ko dekhy, Aurat ko pasand ha keh wo apny jism ko numaya karay. Maqsad jism ban gaya na? Qanoon ijazat de raha ha keh tu jese jism dikhana chahti ha wese dikha. Tera Jism Teri Marzi. Jism ko jo pasand ha wo karo. Kyun? Kyun keh yahan sara focus jism par ha rooh par to nahi. 

            Islam ka focus body nahi, Islam ka focus Rooh ha. Insan ka maqsad jism ni rooh ha. Kyun ye bat samjhna bohot zaroori ha keh jism aik waseela ha kyun hum Musalmano ka is baat par imaan ha keh jism matti ka ha or matti me he chaly jana or asal zindagi mout k bad ha to wahan rooh ka strong hona zaroori ha nah keh jism ka. 

            Nizam e Taghoot qanoon bnata ha jism k liye or Nizam e Ilahi qanoon bnata ha rooh ki baqa liye. Karbala k khulasay me dekha jaye to nazar ata ha keh Itny zulm, zakham or jung k bad Imam Hussain a.s Mutmaeen kyun hain? Kyun keh Jism k gawany pay dukh nahi hota, wo jism ha he islye keh ussy Allah ka darbar me paish kiya jaye, shahadat tasawur yani jism ki qurbani or rooh ki baqah. Dusri taraf Shimar, Ibn e Saad lar rahay hain jism ki aram-o-asaish k lye. 

AURAT MARCH / WOMEN EMPOWERMENT:

            Isi Just body ya humanist ya women empowerment ki ghalat definition or na maarafat hony ki waja pury masharay ka system barbaad hojata ha. Insan ki definition me insan ko Just Body kaha ha to is body ko jo pasand ha usko facilitate kar rahay hain usi chez se. Dekha jaye jo ye Naara buland karny waly log jo kehty hain, "Mera Jism Meri Marzi!", "Mera Mazhab Meri Marzi!", "Loh Beth gaye Sahi se!", "Shadi k ilawa or bohot kam hain!", "Khud Khana Garam Kr lo!", "Me Awara Me Badchalan!" inki najaiz awazon ne qom py aik kaala dhaba lgaya ha.

            Pakistan me is waqt to nahi magar bahir k angrez mumalik me Mard Ki Mard Se Aur Aurat Ki Aurat Se Shaadi hojati ha. Kyun? Kyun Jism Parast log jism parast ki khuwahish ko pura karay ga or foran qanoon pass karain gey keh jism ki khuwahish ko pura karny k lye. Germany me Aj se 2 Maheeny pehly ka waqia ha keh wahan par aik jaloos nikla jahan unka mutalba tha keh Insan Janwar se shadi kar sakta ha or issy bhi qanooni kar diya jaye.

            Ay Banda e Khuda kitna bhi Jism k liye mehnat kar ly, akhir jism ne to fana hojana ha. Akhir jism ne to mitti me mil jana ha, jism k lye to kuch bachy ga he nahi. Baqah? Baqah e Rooh ha. 

JIS NE KHUD KO PEHCHANA USNE KHUDA KO PEHCHANA (Hazrat Ali a.s)

             Afsos ye ha keh Western World ne insan ki definition me Just Body kaha. Subha se sham tak mehnat kis liye karta raha? Jism k lye. Ab ap calculate karain, keh ap 24 ghanton me jism k lye kitni mehnt karty ho or rooh k lye kitni mehnt krty ho? Ye zehn me rakhain keh Agr me b subha se sham tak jism ki asaishon k pechy hoon to meri soch me or taghoot ki soch me koi fark nahi ha lkn agr me baqah e rooh k lye jang lar rha hun to meri fiqr or Hussain Ibn e Ali a.s ki fiqr aik hojati ha. 

(Khuda Ap ki Toufeeqat mein izaafa farmaye)