Bismillah Al-Rahman Al-Rahim.
"In the name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful".
AOA!
Muhammad-o-Aal-e-Muahmmad saw se jo taleemat milti hain unmy human btaya jata ha keh, Muhabbat ussy nahi krni jo Laik e Muhabbat na ho, Muhabbat ussy krni ha jo Laik e Muhabbat ho! Nafrat har kisi se nahi krni, Gusa har kisi se nahi krna, albata khuda ne insaan k wajood me gusay ki taqat ko rakha ha magar insan ko pata hona chahye keh mene gusa kahan karna ha or kahan nahi karna. Zaban di ha magar zaban kahan istemal karni ha or kahan istemal nahi karni. Ab gusa nah ho to insan insan nah ho, masal k tor pay agar khuda-nakhuwasta agar kisi k ghar par hamla hota ha to ap kab difah karo gey? Jb ap k andar gusa hoga. Gusy ki silahiyat islye bhi zaroori ha taky insan apna difah kar saky.
Gusa insan k andar zaroori to ha magar kahan istemal karna ha ye insan k upr depend karta ha. Masal k tor py agar baap apni aulad par gazabnaak hota ha ya thappar marta ha to bachy ko wahan gusa nahi karna wahan control ha or apni isleha karni ha. Agr koi Imam Hussain a.s ki ya Deen e Islam ki toheen kary to wahan difah karna ha jese karbala me Imam Hussain a.s ne aa k btaya k Imam a.s ne apny gusay ko Allah ki raah me kharch kiya.
Event of Imam Khomeini
Imam Khomeini k waalid Shaheed Mustafa, jin ko waqt k hukmaraano ne Goliyaan maar k shaheed kiya, yani shaheed k bety hain Imam Khomeini. Wo waqia suntay hain or btaty hain keh jab me jawan huwa to mere andar shadeed gusa tha k jinho ne mere walid ko maara ha me unko marun ga or badla loon ga. Phir kehty hain mene Ilm-e-Ahlyl Bait a.s hasil kiya or phir mujhy pata chala keh Ali a.s ka Shia Teen (Tin) k Dabby ki tarah nahi hota, keh bohot jaldi garam hojaye or bohot jaldi thanda hojaye. Phir samaj aye keh asal Shia me quality aik ye bhi ha keh wo apny gusay ko sahi tarah istemal karta ha or sahi jagah par istemal karta ha. Imam Khomeini Kehty hain mere andar gusa tha mere zehen me tha keh 4-5 log pakar kar team bana kar dushmano ko marwa deta lekin phir samaj aye keh ussy kuch hasil nahi hona, mene phir socha aik ya do ko nahi marna. Agar marna ha to is galat nizam ki jarron (roots) ko he kaat dun ga. Kehty hain mene apny gusay ko Ilm hasil karny k liye istemal kiya. Kehty hain Ilm hasil kiya shia qom ko ujagar kiya or aik do ko marny k bjaye mene nizam-e-yazeediyat ko gira diya.
Lehaza is se humain ye sabaq milta ha keh humain pata hona chahye keh humny apna gusa kahan nikalana ha. Misal k tor py, Aj kal dekha jata ha kisi jawan ko Muhabbat me shikast milta ha to wo ghamgheen hojaty hain or inko yahi nahi pata keh inho ne apna gham kahan istemal karna ha, kuch log ghamgheen hoty hain nasha karny lag jaty hain, cigerrate peeny lag jaty, khudkhushi karny lgty hain, blade le kar hath kaat liya, ulti sedhi harkatain karny lag jaty hain or din raat Ghalib k dukhi shair parhny lagta ha. Is jawan ko pagal kehna munasib hoga, kyun keh is jawan ko pata he nahi keh gham ka elaaj shair o shairi nahi, sad songs nahi, ya 2-4 sad films dekh k mazeed jazbati ho kar matlab ye huwa keh aag k upar mazeed petrol chirak raha ha. Aik sawal uthta ha keh kyun hamara mashara tabah-o-barbaad horha ha? Kyun is tarah ka jawan gham me kabhi sad songs sunta ha kabhi sad poetry parhta ha kabhi khud ko nuksan deta ha. Agr is jawan me aqal ho to samaj aye keh in chezon se gham door nahi hona. Humain is ka jawab chahye to karbala se sekhna chahye jahan humain nazar ata ha keh jab Imam Hussain a.s Ghamgheen thy to qalaam karty huwy kehty: "Ay Khuda me teri riza pay razi", "Tere amar k samny tasleem", "Ay Khuda Tere ilawa mera koi Khuda nahi", "Ay faryad suny walon ki faryad suny waly". Allah farmata ha(Mafhoom), "Ay wo bandy jis ka dil toot gaya ha Allah k darbaar me aa, me tere ghamon ko door karny wala hoon".
Insan ko pata he nahi keh gham kese door karna ha, ye galat dostiyon me chala jaye ga, isko nahi pata keh apny ahsasat or jazbat ko kese handle karna ha. Banda gusay me ata ha samaj nahi ati keh kya karna ha ulta neend ki goliyan kha kar sojata ha. Mola Ali a.s ne btaya keh "Agar Gusa Aye to Aik Glass Pani Piya karo..., Jab gusa aye to sir ko sajdy me rakha karo, jab gusa aye to ghusal kiya karo gusa thanda hojaye ga, Jab gusa aye to qalaam na kiya karo kyun keh gusy me insan jo bhi bolta ha galat bolta ha." Gusay ka behtareen ilaaj ha keh gusa aye to khamosh hojao na keh galat bat kar k aglay bandy ko bhi gusa dilaya jaye. Iski misaal gari ki us sui se li ja sakti ha jab gari garm hojati ha to sui agay ki taraf barhna shru hojati ha, jab zyada uper chali jaye to gari band kar dety ho ya mazeed accelerator de dety ho? Engine Jal jata ha lehaza kuch dair gari ko band kr diya jata ha taky gari ka engine normal hojaye or koi nuksan nah ho.
Har chez ki aik boundary hoti ha. Border se bahir jao gy to bhatak jao gy, ye wo sifaat hain jo insan ko apny liye paida karni ha. Agr theek tarah se control kar k apni zindagi ko chalaye ga to matlb sifaat-e-Ali or agar nahi to yani k insan sifat-e-yazeed ko apny liye muntakhib kiya ha.
0 Comment to "Gusse Par Kabu Pane Ka Asan Tarika!"
Post a Comment